affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Aatish-e-Ishq Main Tu Bhi Meri Tarah Jala Karey

Friday 31 May 2013

Aatish-e-Ishq Main Tu Bhi Meri Tarah Jala Karey

Yeh Dua Hai Aatish-e-Ishq Main Tu Bhi Meri Tarah Jala Karey
Na Naseeb Ho Tujhe Hansna, Tere Dil Main Dard Utha Karey

Teray Saamne Tera Ghar Jalay, Tera Bas Chale Na Bujha Sakey
Teray Moonh Say Nikle Yahi Dua Keh Na Ghar Kisi Ka Jala Kare

Rahe Namuraad Raqeeb Bhi, Na Dikhe Tujh Ko Khud.Khusi
Na Naseeb Sherbt-e-wasl Ho, Sada Zeher-e-Ghum Tu Piya Kare

Tujhay Meri Hi Si Khalish Rahe, Tujhe Meri Hi Tapish Rahay
Jaisay Tu ne Mera Jalaya Dil, Waise Tera Bhi Dil Jala Kare

Jo Kisi Ke Dil Ko Dukhe Ga Woh Zerar Zaroor Uthae Gga
Woh saza zamanay Se Pae Ga, Jo Kisi Se Mil Ker Dagha Kare

Tera Shok Mujh Say Ho Paykaraan Teri Aarzooain Bhi Hoon Jawaan
Magar Aain Ehed-e-Bahar Main, Lut'ey Bhaag Tera Khuda Kare

Khuda Karaye Aye Woh Bhi Din Tujhe Chain Aye Na Mujh Bin
Tu Galay Mile, Main Perray Hatoon, Meri Minatain Tu Kya Karay

No comments:

Post a Comment