affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Khaatir se ya lihaaz se maiN maan to gayaa

Wednesday 29 May 2013

Khaatir se ya lihaaz se maiN maan to gayaa

Khaatir se ya lihaaz se maiN maan to gayaa
JhooTi Qasam se aap ka eemaan to gayaa

Dil leke muft kahte haiN kuch kaam ka nahiN
UlTi shikaayateiN rahiN ehsaan to gayaa

Afshaay E raaz E ishq me go zillataiN huiN
Lekin use jataa to diya, jaan to gayaa

Dekha hai butkade meN jo ae sheikh kuch na kuch
Eemaan ki to ye hai k eemaan to gayaa

Darta hooN dekh kar dil E be-aarzu ko maiN
Sunsaan ghar ye kyuN na ho mehmaan to gayaa

Go naamaabar se khush na hua par hazaar shukr
Mujhko wo mere naam se pahchaan to gayaa

Hosh O hawaas O taab O tavaaN “Daag” ja chuke
Ab hum bhi jaane waale haiN saamaan to gayaa

No comments:

Post a Comment