affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Ishq Insaan Ko Pagal Nahi Hone Deta………

Thursday 30 May 2013

Ishq Insaan Ko Pagal Nahi Hone Deta………

 Khud Ko Kirdaar Se Ojhal Nahi Hone Deta
Woh Kahani Ko Mukammal Nahi Hone Deta

 Sang Bhi Phainkta rehta Hai Kaheen Saahil Se
Aur Pani Men Bhi Halchal Nahi Hone Deta

Kasa-e-Khuwaab Se tabeer Utha Leta Hai
Phir Bhi Aabadi Ko Jungle Nahi Hone Deta

Dhoop Men Chaa’on Bhi Rakhta Hai Saron Par Lekin
Aasmaan Par Kaheen Badal Nahi Hone Deta

Abr Bhi Bhaijta Rehta Hai Sada Basti Men
Gali Koochon Men Bhi Jal Thal Nahi Hone Deta

Roz Ik Lehar utha Lata Hai Be-Khuwabi Ki
Aur Palkon Ko Bhi Bojhal Nahi Hone Deta

Phool He Phool Khilata Hai Sar-e-Shaakh Wajood
Aur Khushboo Ko Musalsal Nahi Hone Deta

Aalam-e-Zaat Men Darwaish Bana Deta Hai
Ishq Insaan Ko Pagal Nahi Hone Deta………

6 comments:

  1. Who is the poet?

    ReplyDelete
  2. Poet kon ha is ka??

    ReplyDelete
  3. Meaning od alam-e-zaat and darwaish

    ReplyDelete
  4. Aalam -e-zaat men darwaish bana deta hai ishq insaan ko pagal nhii honay deta meaning

    ReplyDelete