affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Shararat

Friday 17 May 2013

Shararat

Shararat

us ne poocha
Hath ki rekhaon par hai wishwaas tumhara...?

Mai ne kaha bas thora thora
Bola dikhlana tou zara tehreer hai kya haathon pe tumharay
Mai ne kaha choro jaanay do
Kia rakha hai in baaton main
Us ka jab israr barha tou
Mai ne muthi khol dikhai
Us ne hath ko thama aur phir
Dheeray dheeray se yun bola
Such tou poocho
Qismat k is ilm se main bhi nawakif hun
Main ne tou bus hath tumhara choona chahaa

No comments:

Post a Comment