affiliate marketing Famous Urdu Poetry: YuN hausla dil ne haaraa kab tha

Wednesday 29 May 2013

YuN hausla dil ne haaraa kab tha

YuN hausla dil ne haaraa kab tha
Sartaan  mera sitaaraa kab tha

Laazim tha guzarna zindagi se
Bin zehr piye guzaaraa kab tha

Kuchh pal use aur dekh sakte
AshkoN ko magar gawaaraa kab tha

Hum khud bhi judaayi ka sabab the
Uska hi qusoor saaraa kab tha

Ab aur ke saath hai to kya dukh
Pahle bhi koi hamaaraa kab tha

Ek naam par zakhm khil uthe the
Qaatil ki taraf ishaaraa kab tha

Aaye ho to raushni hui hai!!
Is baam par koi taaraa kab tha

Dekha hua ghar tha par kisi ne
Dulhan ki tarah saNwaaraa kab tha

No comments:

Post a Comment