affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Chalo Choro!!

Wednesday 29 May 2013

Chalo Choro!!

Chalo choro!
Ke ab tak main andhron ki dhamak main sans ki zerbon pe
chahat ki bunyaad rak kar safar karta rha hounga.
Mujhe ehsaas he kab tha
ke tum bhi mousamon ke sath
apne perihan ke rung badlo gi?

Chalo Choro !!
wo sare khuwab kachi mitti,bhur bhuri mitti ke be qeemat gherounde thy
Wo saare alfaaz zaiqey meri zuban per zakham ban kar jam gae honge
Tumhari ungliyon ki naram porei'n patheron per naam likhti thin mera
lekin !!
Tumhari ungliyan to adatan ye jurm karti thin

Chalo Choro!!
Safar main ajnabi logon se aise haadse serzad howa karte hain sadyon se

Chalo Choro!!
Mera hona na hona aik baraber hai

Tum Apne khaal-o-khad ko aaine main phir nikharne do
Tum apni ankh ki basti main phir se ik nea mousam uterne do
Mere khawbon ko marne do
Nai tasveer dekho,
phir neya maktoob likho,
Phir nae mousam, nae lafzon se apna silsila joro

Mere maazi ki chahat laigan samjho
meri yaadon se kache rabte toro

Chalo choro
Mohabbat jhoot hai
Ehd-e-wafa ik shugal hay bekaar logon ka

No comments:

Post a Comment