affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Bouhat Be.His Si Larki Hai

Friday 31 May 2013

Bouhat Be.His Si Larki Hai

Bouhat Be.His Si Larki Hai
Sada Khaamosh Rehti Hai
Bouhat Kam Muskurati Hai
Nami Ankhon Mai Rehti Hai
Bouhat Souchon Mai Rehti Hai
Basi Ankhon Main Veerani
Chupi Chehre Pe Hairani
Agar Koi Jo Kuch pooche
Jawabi Baat Kehkar Phir
Yunhi Khamosh Rehti Hai

Bari Be.Hiss Si Larki Hai
Khud He Main Gum Rehti Hai
Ye Kuch Maghroor Larki Hai

Ye Baatein Sun Ke Us Larki Ko
Phir Kuch Yaad Aata Hai

Kabhi Ye Loug Kehte Thy
Bari Chanchal Si Larki Hai
Humesha Muskurati Hai
Aur Akser Gungunati Hai.
Chamkta Chaand Sa Chehra
Khanakta Shokh Sa Lehja
Diye Jalte Hain Ankhon Main
Bari Shokhi Hai Batoun Main
Fizaein Dekh Kar Usko
Khushi Se Jhoom Jati Hain
Chamakti Raat Uske Nain Main
Sapne Jagati Hai

Tamazat Dhoop Ki Chehte Pe Uske
Gul Khilati Hai..

Kabhi Barish Ke Mousam Main
Suhane Khel Kashti Ke
Kabhi Guriyon Ki Shadi Ho
Kabhi Geeton Ki Baazi Ho
Ye Har.dam Paish Rehti Hai
Bari Alhar Si Larki Hai
Ye Kitni Shoukh Larki Hai..

Magar Ab Loug Kehte Hain
Ajab Be.his Si Larki Hai
Bohut Kam Muskurati Hai
Sada Khamosh Rehti Hai

Inhe Maloom Kaise Ho
Wafa Ke qaid khane Main
Faraiz Ke Nibhane Main
Jo Larki Daar cherhti Hai
Jissy Sapnoun Ke Bun'ne Ki
Sazaei'n Waqt Ne Di Houn
Jo Rasmoun Aur Rivajoun Ke
Alla'o Main Sulagti Ho
Laboun Ki Nok Per Jiske
Gale Be.jaan Hote Houn
Jism Ki Qaid Main
Jab Rooh Akser Pharpharaati Ho
Tou Aik Kamzor Si Larki
Yunhi Be.mout Marti Hai

Tou Phir Yun Loug Kehte Hain
Bohut Sanjeedgi Oorhe
Ajab Be.hiss Si Larki Hai
Bohut Kam Muskurati Hai
Sada Khamosh Rehti Hai

No comments:

Post a Comment