affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Kitne mousam sargardaan the

Wednesday 29 May 2013

Kitne mousam sargardaan the

Kitne mousam sargardaan the mujh se hath milane main
Main ne shaayed dair lagadi khood sey baahar aane  main
Ek nighah ka san’nata hai ek aawaaz ka banjar pan
Main kitna tanha baitha hun qurbat ke veerane main
Bistar se  karwat ka rishta toot gaya ek yaad ke saath
Khaab sarhane se uth baitha takiye ko sarkaney main
Aaj uss phul ki khushbu mujh main paiham shor machati hai
Jis ne be had ujlat barti khilne  aur murjhaane  main
Baat banaane wali ratein rang nikharne wale din
Kin rastoN par chhoR aaya main umr ka sath nibhane main
Aik malal ki gard samete  main ne khood ko paar kia
Kaise kaise wasl guzare hijr ka zakhm chhupane main
Jitne dukh the jitni umeedein, sab se brabar kam liya
Main ne apne aayinda ki ek tasweer banaane main
Aik wazahat ke lamhe  main mujh par ye ahwaal khula
Kitni mushkil paish aati hai apna haal bataane  main
Pahlay dil ko aas dilaa kar beparwaaa ho jata tha
Ab to Azm bikhar jata hun main khud ko bahlane main

No comments:

Post a Comment