affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Main kyon na tark-e-ta'aluq ki ibteda karta

Friday 31 May 2013

Main kyon na tark-e-ta'aluq ki ibteda karta

 Main kyon na tark-e-ta'aluq ki ibteda karta
Wo dur dais ka baasi tha kiya wafa karta ?

Wo mere zabt ka andaza karne aaya tha
Main has ke zakhm na khata tu aur kiya karta ?

Hazar aaina khano'n mein bhi pa na saka
Wo aaina jo mujhe khud se aashna karta

Dar-e-qafas pe qayamat ka habs tha warna
Saba se zikr tera mein bhi sun liya karta

Meri zamee'n, tu agar mujh ko raas aa jaati !
Main rifato'n mein tujhe aasma'n sa kerta

No comments:

Post a Comment