affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Aankhon ki bandgi nigahain Jhuka k Chal

Saturday 17 August 2013

Aankhon ki bandgi nigahain Jhuka k Chal

 Pakistani Aurat k Naam

 Aankhon ki bandgi nigahain Jhuka k Chal,

Shanun se Gir gia hai Dopata Utha K Chal,

Qomun ki zindgi Teri Aaghosh Men Pali.

Qomun ki zindgi Ka Muqadar Jaga k chal,

Ankhon K Teer Tery Badan Se Paray Rahen,

Sharm_o_Haya Ko Apna Lubada Bana K Chal,

Gar Ho sakay To Serat_e_Zohra Pe Kar Amal,

Is Zindgi Ko yon Na Tamasha Bana k Chal,

Ban Ja Sheaar_e_Azamat_e_Aslaaf ka NIshan,

Har Ek Gunah Se Daman_e_Ismat Bacha K Chal,

Mana Hawa Kharab Hai Mahool Bhe Ghaleez,

Gar Ho Sakay To Sath na Us hawa K chal,

Nasir Ko Teri Hurmat_o_ifat Azeez hai,

Is Dar_e_Namurad se us ko bacha K Chal...........!

No comments:

Post a Comment