affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Jog Bajog Ki Batein Jhooti Sab Jee Ka Behlana Ho

Tuesday 13 August 2013

Jog Bajog Ki Batein Jhooti Sab Jee Ka Behlana Ho

 Jog Bajog Ki Batein Jhooti Sab Jee Ka Behlana Ho,

Phir Bhi Hum Se Jate Jate Aik Ghazal Sun Jana Ho,

Sari Dunia Aqal Ki Bairi Kon Yahan Par Siyana Ho,

Na Haq Naam Dharein Sab Hum Ko Deewana,Deewana Ho,

Nagri Nagri Lakhon Darwaze Har Darwaze Par Lakhon Sakhi,

Lekin Jab Hum Bhool Chuke Hain Daman Ka Phailana Ho,

Sat Samandar Paar Ki Gori,!
Khail Zara Karta Ruke Dekh,

Hum Ko Tha Is Shehr Mein Milna Us Ko Tha Milwana Ho,

Tere Ye Kia Jee Mein Aai Khainch Liye Sharma K Hont,

Hum Ko Zehar Pilane Wali Amrat Bhi Pilwana Ho,

Sawan Beeta Bhadon Beeta Ujre Ujre Man K Khait,

Koyal Ab To Kook Uthana Maiga Meenh Barsna Ho,

Aik Hi Sorat Aik Hi Chehra Basti Parbat Jangal Painth,

Aur Kisi K Ab Kia Hon Gay Chor Humain Bhatkana Ho,

Hum Bhi Jhoote Tum Bhi Jhoote Aik Usi Ka Sacha Naam Ho,

Jis Se Deepak Jalna Seekha Parwana Jal Jana Ho,

Seedhe Mann Ko Aan Dabochain Meethi Batein Sundar Bol,

Meer Nazeer Kabeer Aur Insha Sara Aik Gharana Ho...............!

No comments:

Post a Comment