affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Tumhain aadat nahin meri

Sunday 18 August 2013

Tumhain aadat nahin meri

Abhi tum soch sakti ho
Khud ko rok sakti ho
Abhi aaghaz-e-mohabbat hai,Tumhain aadat nahin meri

Bari khud gharz duniya hai
Kabhi milnay nahin day gi
Mujay bhi tor dalay gi
Tujhay bhi tor dalay gi

Abhi tum soch sakti ho
Khud ko rok sakti ho
Abhi aaghaz-e-mohabat hai,Tumain aadat nahin meri

Abhi aadat nahin tujh ko
wasal ki haseen shamon ki
Abhi adat nahin mujh ko
Teri aankhon main khonay ki

Abhi tum soch sakti ho
Khud ko rok sakti ho
Abhi aghaz-e-mohabat hai,Tumain aadat nahin meri

Bara mushkil hota hai
kisi ko chor kar jana
Eik Dil ka rishta , Dosray se tor kar jana
ye duniya chor diti hai
Bharam sab tor deti hai

Abhi tum soch sakti ho
Khud ko rok sakti ho
Abhi agaz-e-mohabbat hai,Tumhain aadat nahin meri

Din bhar k thake panchi
Abhi wapas nahin loute
Abhi soraj nahin doba
Abhi taray nahin niklay

Abhi tum soch sakti ho
Khud ko rok sakti ho
Abhi agaz-e-mohabat hai,Tumain aadat nahin meri

Abhi kashti samander ki
Lehron se nahin uljhi
Abhi kashti bhi teri hai
Abhi tera kinara hai

Abhi tum soch sakti ho
Khud ko rok sakti ho
Abhi agaz-e-mohabat hai,Tumhain aadat nahin meri

No comments:

Post a Comment