affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Shahon Ki Tarha Thay Na Ameeron Ki Tarha Thay

Wednesday 28 August 2013

Shahon Ki Tarha Thay Na Ameeron Ki Tarha Thay

 Shahon Ki Tarha Thay Na Ameeron Ki Tarha Thay
Hum Shehr-E-Mohabbat K Faqeeron Ki Tarha Thay

Daryaoun Mein Hotay Thay Jazeeron Ki Tarha Hum
Sehraoun Mein Pani K Zakheeron Ki Tarha Thay

Afos K Samjha Na Hame Ehl-E-Nazar Ne
Hum Waqt Ki Zanbeel Mein Heeron Ki Tarha Thay

Gham Toq Gulo, Paon Mein Zajeer Ana Ki
Azaad Bhi Thay Hum Tou Aseeron Ki Tarha Thay

Ab Reh Gaey Hum Sirf Riwayat Ki Soorat
Jab Thay Tou Hama Rung Nazeeron Ki Tarha Thay

Hairat Hai K Woh Log Bhi Ab Chorr Chalay Hein
Jo Shafqat Ki Hatheli Pay Lakeeron Ki Tarha Thay

Sochi Na Buri Soch Kabhi Un K Liyeh Bhi
Paiwasta Mere Dil Mein Jo Teeron Ki Tarha Thay  ....

No comments:

Post a Comment