affiliate marketing Famous Urdu Poetry: ik pagal pagal c larki

Tuesday 13 August 2013

ik pagal pagal c larki

ik pagal pagal c larki
dil torne se darti thi
har pal ,har lamha,
khud se wo jhagarti thi
ansoo kun aay kisi ankh mein
mujrim khud ko samjti thi
ghut ghut k jeeti rehti thi
har saans ulajti rehti thi-
so baar kaha a nnadaan ladki
duniya ko dekhna chorr de
khud se uljhna chorr de
pal pal bikharna chorr de
yahan hasaas dil to koi nhi
yahan nazuki se kaam na le
yahan pathar ban na parta hai
yahan rehm dili se kaam na le
so baar kaha
par kesi na samj thi
duniya ko hi sab samjti thi
phir wohi huwa jo hona tha
dil toota uss ka
jis ka usse rona tha
bharose ki diwaar giri
sard lehje har baar mile
phir simt gai apni zaat mein
tamaam dukhon ko samete anchal mein
ankhon mein jazbaat nhi
pehle se halaat nhi
farq sirf itna huwa
khud apni zaat ko torr diya
tanhaiyon se rishta jorr liya
phir tanha tanha rehne lagi
phir khud ko pathar kehne lagi....
ik pagal pagal c larki
jo dil torr ne se darti thi

No comments:

Post a Comment