affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Suno Guriyaa..

Friday 30 August 2013

Suno Guriyaa..

Usay Maine Ye Likha Tha
Suno Ae Jaan Se Pyaari Guriya !!!
Tumhain maloom hi hoga
Tumhare bin to ab mera guzara ho nahi sakta..
Tarapta hon judaai main
Magar..
Ye be.basi kesi !!
Keh
Mai khul ke ro nahin sakta..

Mere Eesaab pe hai
Tumhaari yaad ka pehra
Main shab ko so nahi sakta..


Suno Guriya !!
Koi raasta,
Koi tadbeer ho aisi
Ke dil ke chaak sil jaein
Judaai mai wafaon ke kahin pe gul jo khil jaein
Ham phir ik baar mil jaen..


Jo ab guriya ne likh bheja
Ae meri jaan se berh kar !!
Ye mera Aakhri khat hai
Ye mana hai bohot mushkil Magar !!
Dekho meri khaatir tumhein har haal mai
Mujhse kinaara karna hoga
Koi tadbeer bhi ab ke
Hamaare Bas Se baahir hai..
Jo Dil Ke chaak hain jaana !!
Ye phir se sil nahi sakte
Judaai mai wafaaon ke kabhi gul khil nahi sakte
Suno!!
Ham mil nahi sakte




Tumhari khuwahishein janaa'n
Hain sar ankhon pe mere


So...
Sar.e.raah Mohabbat mai
Tumhari khuwahison ka ab jo ik taawaan hai zimmey
Usi ko bhar raha hon main
Ubharti saans kehti hai
Musalsal mar raha hon main


Suno Guriyaa..


Guzaara Kar raha hon main..!!!

1 comment:

  1. hallo fahad ali visit this blog www.afzaalpoetry.blogspot.com

    ReplyDelete