affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Bikharta Jism Meri Jaan Kitab Kia Ho Ga

Saturday 10 August 2013

Bikharta Jism Meri Jaan Kitab Kia Ho Ga

 Bikharta Jism Meri Jaan Kitab Kia Ho Ga?

Tum Apni Neend Bhare Shehr Mein Talash Karo!

Jo Aankh Rakh Hoi Us Mein Khawab Kia Ho Ga?

Wo Meri Tohmatain Apne Badan Pe Kion Orhe,

Mere Gunah Ka Us Ko Sawab Kia Ho Ga?

Hawa Mein Us Ki Musafat Zameen Pe Mera Safar,

Wo Shahsawar Mera Humar Kaab Kia Ho Ga?

Usay Ganwa K Main Ab Kis K Khudo Khaal Parhon,

Ab Us Se Barh K Mera Intakhab Kia Ho Ga?

Mile Ga Doobne Walon Ko Ajar Jo Bhi Mile!

Samandaron Ka Magar Ahtasab Kia Ho Ga?

Humare Bad Humain Yad Kion Kare Ga Ko?

Hawa Ka Naqsh Sar-E-Satha-E-Aab Kia Ho Ga?

Bikharte Tootte MOHSIN Ko Kia Kehna,

Kharab Aur Wo Khana Kharab Kia Ho Ga.............?

No comments:

Post a Comment