affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Mein Kab Tak Usey Pukara Krun ?

Friday 9 August 2013

Mein Kab Tak Usey Pukara Krun ?

*Main Yun hi Shoq Mein Kab Tak Usey Pukara Krun?

* Woh Mera Hai, Ya Nai Hai, Ab Kia Istekhara Krun?

* Kaha Hai Us Ne K Main Har Roz Aaun Ga.....

* Kia Main Us k Lie Rozana Ghar Sanwara Krun?

* Tamam Log Dekhte Hain Nazar Bhar K Usey.....

* To Kyun Na Roz Main Uski Nazar Utara Krun...

* Jo Ban Gaya Hai Mere Lie Wisaal-e-Jan.....

* Main Sochta Hun K Un Sab Se Ab Kinara Krun...

* Woh Meri ZINDAGI Hai Aur Dusron K Sath Rahe...

* Yeh Be-rukhi Main Bhala Kis Tarha Gawara Krun???

No comments:

Post a Comment