affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Barason ke baad dekha ik shakhs dilruba sa

Tuesday 20 August 2013

Barason ke baad dekha ik shakhs dilruba sa

Barason ke baad dekhaa ik shakhs dilruba sa
Ab zahan mein nahin hai par naam tha bhalaa sa

Abaruu khinche khinche se ankhein jhuki jhuki si
Baatein ruki ruki si lehaja thaka thaka sa

Alfaaz the ke jugnu aawaz ke safar mein
Ban jaaye jangalon mein jis tarah raasta sa

Khawabon mein Khawaab us ke yaadon mein yaad us ki
Neendon mein ghul gaya ho jaise ke rat-jaga sa


Pehle bhi log aaye kitne hi zindagi mein
Wo har tarah se lekin auron se tha judaa sa

Aglii muhabbaton ne wo na.muraadiyan dein
Taza rafaaqaton se dil tha dara dara sa

Kuch ye ke muddaton se ham bhi nahin the roye
Kuch zehar mein bujha tha ehbaab ka dilaasa

Phir yun hua ke saavan aankhon mein aa base the
Phir yun hua ke jaise dil bhi tha aabla sa

Ab sach kahen to yaaro ham ko khabar nahin thi
Ban jayega qayaamat ik waqea zara sa

Tevar the berukhi ke andaaz dosti ke
Wo ajnabi tha lekin lagta tha aashna sa

Ham dasht the ke dariya ham zehar the ke amrit
Naahaq tha zoum ham ko jab wo nahin tha pyasa

Ham ne bhi us ko dekha kal shaam ittefaaqan
apna bhi haal hai ab logo 'Faraz' ka sa

No comments:

Post a Comment