affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Weeran bohat hon

Wednesday 21 August 2013

Weeran bohat hon

Weeran bohat hon wasl se Tashkeel kar Mujhy,
Tu mujh say pyar kar zara tabdeel kar mujhy,

Sehra ki tapti rait sy aa kar mujhy bacha,
Tu Thanday meethay pani ki ik jheel kar mujhy,

Ho jaain na kharab kahain meri aadatain,
Har hukm par na es tarah taa'meel kar mujhy,

Ab is trha se mujh ko adhura na chor tu,
Main hon tera wada to ab takmeel kr mujy,

Chhu kr mera wajood tajjali si bakhash de,
Main ik andhairi raat hon na taveel kar mujy

No comments:

Post a Comment