affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Chalo Bus Ab Maan Bhi Jao Na

Sunday, 10 February 2013

Chalo Bus Ab Maan Bhi Jao Na



Chalo Bus Ab Maan Bhi Jao Na

Nahi Aata mujhe Fun Kisi ko Mananay Ka,
Faqat Itna hi Kehta Hon
“Chalo Bus Ab Maan Jao Na”

Tumharay Nazdeek Agar Meri Hansi Dilkash Hai,
To Main Muskura k Kehta Hon
“Chalo Bus Ab Maan Jao Na”

Agar Tum Dekhna Chaho Mere Aankh Mai Aansu,
Tou Mai Ro Ro k Kehta Hon
“Chalo Bus Ab Maan Jao Na”

Saza Dene Se Hoti hai Gar Tassalli Tumhary,
To Phir Mai Kaan Pakar K Kehta Hon
“Chalo Bus Ab Maan Jao Na”

Dekho Aise Kisi Se Roothna Acha Nahi Hota,
Ab Main Bohat Maan Se Kehta Hon
“Chalo Bus Ab Maan Jao Na”

Tum Gar Chaho k Mere Saans Bhi Na ho Baaki,
To Main Dam-e-Aakhir Kehta Hon
Chalo Bus Ab Maan Jao Na..

No comments:

Post a Comment