affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Dil e man Musafir e man by Faiz Ahmad Faiz

Monday 18 February 2013

Dil e man Musafir e man by Faiz Ahmad Faiz


Dil e man Musafir e man

Dil e man Musafir e man
Meray dil meray musafir
hua phir sey hukm sadir
k watan badar hon hum tum

dein gali gali sadain
karein rukh nagar nagar ka
ke suraagh koi paein
kisi yar e nama bar ka

har ik ajnabi sey poochein
jo pata tha apney ghar ka
sar e kooey nashenayan
hamein din sey raat karna

kabhi iss sey baat karna
kabhi us sey baat karna
tumhein kya kahoon key kya hey
shab e gham buri balaa hey

hamein yeh bhi tha ghaneemat
jo koi shumaar hota
hamein kya bura tha marna
agar eik baar hota

No comments:

Post a Comment