In ashkon ko paani kehna
Bhool nahin naadaani hia
Tan-man mein jo aag lagaaye
Ye tho aise paani hai...
Kaise tum se iskq hua thaa
Kya kya hum par biti hai
Sunlo tho sachcha afsaana
Warna ek kahaani hai...
Sheik-O-barhaman zaahid-O-waaeez
Piree mein ye kya jaane
Bhool bhi ho jaathi hai isme
Iska naam jawaani hai...
Dukh-sukh sehna aur khush rehna
Iskq mein laazim hai ye 'sahar'
Dil waale ho math ghabraao
Ye tho reet puraani hai...
No comments:
Post a Comment