Kahin Ek Masoom Nazuk Se Ladki
Bohat Khobsoorat Mager Sanwali Se
Mujhay Apnay Khuwabon Ki Banhon Main Paa Ker
Kabhi Neend Main Muskurati Tu Ho Gi
Ussi Neend Main Kasmasa Kasmasa Ker
Sarhanay Se Takiyay Girati Tu Ho Gi
Wohi Khuwab Din K Manderon Pe Aa Ker
Ussay Man He Man Lubhatay Tu Hon Gay
Kai Saaz Seenay Ki Khamoshion Main
Meri Yaad Se Jhunjhanatay Tu Hon Gay
Woh Besakhta Dheemay Dheemay Suron Main
Meri Dhun Main Kuch Gungunati Tu Ho Gi
Chalo Khat Likhain, Jee Main Ata Tu Ho Ga
Mager Ungliyan Kapkapati Tu Hon Gi
Qalam Haath Se Choot Jata Tu Ho Ga
Umangain Qalam Phir Uthati Tu Hon Gi
Mera Naam Apni Kitabon Per Likh Ker
Woh Danton Main Ungli Dabati Tu Ho Gi
Zuban Se Kabhi Uff Nikalti Tu Ho Gi
Badon Dheemay Sulagta Tu Ho Ga
Kahin K Kahin Paon Pertay Tu Hon Gay
Zameen Pe Dupatta Latakta Tu Ho Ga
Kabhi Subah Ko Shaam Kehti Tu Ho Gi
Kabhi Raat Ko Din Batati Tu Ho Gi
Kahin Ik Masoom Nazuk Si Ladki
Bohat Khoobsorat Mager Sanwali Si
No comments:
Post a Comment