affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Kaho kese guzarti hai, Tumhari zindagi, paagal,

Wednesday 13 February 2013

Kaho kese guzarti hai, Tumhari zindagi, paagal,

Kaho kese guzarti hai,
Tumhari zindagi, paagal,
Suna hai, ab to eid’en bhi,
Woh pehli si nahin karty,
Kisi ke ghar nahin jatey,
Kisi se bhi nahin miltey,
Kisi ki ek nahin suntey,
Kisi se kuch nahin kehtey,
Na koi gift lete ho,
Na koi gift dete ho,
Kabhi khul kar na hanstey ho,
Kabhi khul kar na rotey ho,
Bohat bekal bohat upset,
Bohat bechain hotey ho,
Suna hai chaand raton mein,
Bohat be’mood dikhtey ho,
Woh kaghaz phaarr dete ho,
Kisi ke wastey jin per,
Bohat se sher likhtey ho,
Na jeetey ho na martey ho,
Suno yeh zindagi pagal,
Bassar kis tarah kartey ho,
Kaho, kesi guzarti hai?

No comments:

Post a Comment