affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Khuli ankhon main sapna jagta hai

Saturday 23 February 2013

Khuli ankhon main sapna jagta hai

Khuli ankhon main sapna jagta hai
wo soya hai k kuch kuch jagta hai
teri chahat k bhige jangalon main
mera tan mor ban k nachata hai
mujhe har kaifiyat main kyon na samjhe
wo mere sab hawale janta hai
kisi k dhyan main duba hua dil
bahane se mujhe bhi talta hai
sarak ko chor kar chalna parega
k mere ghar ka kacha rasta hai

No comments:

Post a Comment