affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Kuch aise ghao bhi hote hain

Saturday, 9 February 2013

Kuch aise ghao bhi hote hain


Kuch aise ghao bhi hote hain 
Jinhen zakhmi ap nahi dhote
Bin roye huye ansuon ki tarah 
Sine main chupa ke rakhte hain
Aur sari umr nahi rote
Ninden bhi muhaiya hoti hain
Sapne bhi dur nahi hote
Kyun phir bhi jagte rahte hain
Kyun sari rat nahi sote
Ab kis se kahen ai jan-e-vafa
Ye ahal-e-vafa kis ag main jalte rahte hain
Kyun bujh ke rakh nahi hote

No comments:

Post a Comment