affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Mera har lafz rota hai

Saturday 9 February 2013

Mera har lafz rota hai

yahi wada lia tha na. . .?
hamesha khush he rehna hai
lo dekho!
dekh lo aakar,
meri ankho ko dekho tum,
yai kitni shokh lagti hain
mera honto ko dekho tum
hamesha muskuratay hain
koi bhi gham agar aya
usa hans kar saha mena
mera cheray ko dekho tum
kia tha menay jo tumsay
wo wada kar dia pura
magar ek baat hai jana
kabhi jo waqt mil jai
to meri shairi parhna
tumhay mehsos tu hoga
kahin talkhi bhara lehjha
kahin pa sard sa lehjha
kahin pa dard ki jehlain
kahin lehjha ki karwahat
suno!
mai khush tu hon lakin
mera har lafz rota hai

No comments:

Post a Comment