affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Mera tumse aesa rishta hai

Wednesday 13 February 2013

Mera tumse aesa rishta hai

Mera tumse aesa rishta hai
Khawb ka jo tabeer se hai,
Sheeshe ka jo tasveer se hai,
Sachayi ka jo zameer se hai,
Qaidi ka jo zanjeer se hai,
Samundar ka jo mahi-geer se hai,
Ranjhey ka jo heer se hai,
Mera tumse aesa rishta hai,
Chaand ka jo raat se hai,
Saawan ka jo barsat se hai,
Dil ka jo barsaat se hai,
Dil ka jo jazbaat se hai,
Mausam ka jo soghaat se hai,
Jeet ka jo maat se hai,
Takdeer ka jo halaat se hai,
Mera tumse aesa rishta hai
Pyar ka jo iqraar se hai,
Dukh ka jo izhaar se hai,
Sharaab ka jo khumaar se hai,
Nafrat ka jo pyaar se hai,
Jeet ka jo haar se hai,
Til ka jo rukhsaar se hai,
Mera tumse aesa rishta hai
Kaantey ka jo phool se hai,
Insaan ka jo bhool se hai,
Raah ka jo dhool se hai,
Dua ka jo kubool se hai,
Ilm ka jo husool se hai,
Kitaab ka jo Rasool se hai,
Mera tumse aesa rishta hai
Bahaar ka jo chaman se hai,
Nigaah ka jo hussan se hai,
Pardesi ka jo watan se hai,
Justuju ka jo lagan se hai,
Choli ka jo daaman se hai,
Yadon ka jo saawan se hai,
Mera tumse aesa rishta hai
Dard ka jo ehsaas se hai,
Sehraa ka jo pyaas se hai,
Ghareeb ka jo aas se hai,
Dard ka jo paas se hai,
Jism ka jo libaas se hai,
Gham ka jo Waqaas se hai,
Mera tumse aesa rishta hai,
Mera tumse aesa rishta hai…

No comments:

Post a Comment