affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Mohabbat Rog Hay Jaana

Friday 22 February 2013

Mohabbat Rog Hay Jaana



                             Mohabbat Rog Hay Jaana

                                Ajab Sanjog Hay Jaana

Yeh Kaisa Jog Hay Jaana

Borhay Btatay Thy

Kayi Qissay Sunatay Thy
...

Magar Hum Mantay Kab Thy 

Yeh Sab Kuch Jantay Kab Thy

Yeh Baatein Zikr k Qabil

Bhala Gardantay Kab Thy

Ana k Takht Par Baithy

Humein Maloom Hi Kab Tha

Ana k Takht Se Ooper Bohat Sari Bulandi Par

Kahin Pariyon k Jhurmat Mein

Tery Pairoon Ki Payel Mein

Tery Chotay Se Gaaon Mein

Ghani Zulfoon Ki Chaaon Mein

Sitaray Chaand Sooraj Walehana Raqs Kartay Hain

Humein Maloom Hi Kab Tha

Tery Qadmon Ki Aahat Par

Gulabi Muskurahat Par

Tery Hontoon Ki Jumbish Par

Tery Sir k Isharay Par 

Sada-e-DilBrana Par

Nigah-e-Qatilana Par

Jafa-e-Mehrmana Par

Ada-e-Kafirana Par

Chaman k Phool Saray


Iss Tarah Se Dhayan Detay Hain 

Zara Se Wasl k Jhansey Mein

Apni Jaan Detay Hain

Humein Kab ILM Tha Jaana

Tery Pekar Se Dhul kar

Chandani Har Soo Bikharti Hay

Shab-e-Mahtab Ki Doshezgi Kaisy Nikharti Hay

Teri Payel Ki Chan Chan

Mann Mein Kya Ghanti Bajati Hay

Teri Awaz Veerany Mein

Kya Jadu Jagati Hay

Tery Naghmay Fiza Mein 
Kis
Tarah Jal Tarang Bajaty Hain

Bohat Pukhta Iraday

Kis Tarah Se Toot Jatay Hain

Humein Idraak Hi Kab Tha

Humein Kamil Bharosa Tha

Hamary Sath Kisi Surat Bhi Aisa Nahi Ho Ga

Dil-e-Nadaan Kabhi

Qaboo Se BeQaboo Nahi Ho Ga

Yeh DuniyaDaar

DuniyaDaar Se Saadhuu Nahi Ho

Ga Magar….

Magar Phir Yun Huwa Jaana


Na Janay Kiun Huwa Jaana

Bara Afsoon Huwa Jaana

Jigar Ka Khoon Huwa Jaana

Tery Abroo Ki Ik Jumbish Se 

Ghayel Ho Gaye Hum b

Baray Be Multafit Phirtay Thy

Maayel Ho Gaye Hum b

Sakhawat Karnay Aye Thy

Aur Saayel Ho Gaye Hum b

Baray Borhoon Ki In Baaton k 

Qaayel Ho Gaye Hum b
K …..
Mohabbat Rog Hay Jaana

Ajab Sanjog Hay Jaana

Yeh Kaisa Jog Hay Jaana…!!!

No comments:

Post a Comment