affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Seene ma jalan aankhon ma toofaan sa kyun hai

Saturday 23 February 2013

Seene ma jalan aankhon ma toofaan sa kyun hai

Seene ma jalan aankhon ma toofaan sa kyun hai
Is shehar ma har shakhs pareishaan sa kyun hai

Dil hai to dhaRakne ka bahaana koi dhoonde
Pathar ki tarha be'his o be'jaan sa kyun hai

Tanhaaii ki ye kon si manzil hai rafeeqo
Ta had e nazar aik bayabaan sa kyun hai

Hum ne to koi baat nikaali nahi ghum ki
Woh zood e pasheimaan, pasheimaan sa kyun hai

Kya koi naii baat nazar aaii hai hum ma?
Aaeina humain daikh ke hairaan sa kyun hai

No comments:

Post a Comment