affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Tere ishq ki intaha chahta hun

Sunday 10 February 2013

Tere ishq ki intaha chahta hun

Tere ishq ki intaha chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun

sitam ho k ho wada-e-behijabi
koi bat sabr-azma chahta hun

ye jannat mubarak rahe zahidon ko
k main ap ka samna chahta hun

Zara sa to Dil hoon magar shookh itna
Wohi lan'tarani Sunna chahta hoon

koi dam ka mehman hun ai ahl-e-mahfil
chirag-e-sahar hun, bujha chahta hun

bhari bazm mein raz ki bat kah di
bara be-adab hun, saza chahta hun

No comments:

Post a Comment