affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Zikr-e-Shab-e-Firaq Se Wehshat usey Bhi Thi,

Friday 22 February 2013

Zikr-e-Shab-e-Firaq Se Wehshat usey Bhi Thi,

Zikr-e-Shab-e-Firaq Se Wehshat usey Bhi Thi,

Meri Tarha Kisi Se Muhabbat usey Bhi Thi.


Mujh Ko Bhi Shoq Tha Naye Chehron Ki Deed Ka,

Rasta Badal Ke Chalne Ki Aadat usey Bhi Thi.


us Raat Dair Tak Wo Raha Mahw-e-Guftagu,

Masroof Main Bhi Kam Tha Fursat usey Bhi Thi.


Sunta Tha Wo Bhi Sab Se Purani Kahaniyan,

Taaza Rifaqton Ki Zarorat usey Bhi Thi.


Mujhse Bichar Ke Shehar Main Ghul Mill Gaya Wo Shakhs,

Halan Ke Shehar Bhar Se adawat usey Bhi Thi.


Wo Mujhse Bhar Ke Zabt Ka Aadee Tha Jii Gaya,

Warna Her Ek Saans Qiyamat usey Bhi Thi.

Mohsin Main Us Se Keh Na Saka Youn Bhi Haal-e-Dil,
 
Darpeesh Aik Taza Musibat Usey Bhi Thi.

No comments:

Post a Comment