affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Baat nikle gi to phir door talak Jai gi

Tuesday, 5 March 2013

Baat nikle gi to phir door talak Jai gi

Baat nikle gi to phir door talak Jai gi
loog be wajah udasi ka sabub poochen ge
yeh bhi poochen ge k tum itni pareshan kyon ho
unglian uthen gi sookhee howe balon ki taraf
aik nazar dhekhen ge guzre howe salon ki taraf
choriyon par bhi kaiee tanz kiyee jain ge
kanptee haton pe bhi fikre kase jain ge
loog zalim hein har aik baat ka tana dein ge
baton baton mein mera zikr bhi le aayen ge
unki baton ka zara sa bhi asar mat lena
warna chehre k tasur se samajh jain ge
chahe kuch bhi sawalat na karna unse
mere bare mein koi baat na karna unse
BAAT NIKLE GE TOO PHIR
DOOR TALAK JAI GI

No comments:

Post a Comment