Haalat K Qadmon Pe Qalandar Nahin Girta,
Tootay Bhi Jo Taara To Zameen Per Nahin Girta.
Girtay Hain Barray Shauq Se Samandar Mein Darya,
Lekin Kisi Darya Mein Samandar Nahin Girta.
Samjho Wahan Phal-daar Shajar Koi Nahin Hai,
Wo Sehan K Jis Mein Koi Pathar Nahin Girta.
Hairaan Hai Kaii Roz Se Thehra Hua Pani,
Taalaab Mein Ab Kyun Koi Kankar Nahin Girta.
Us Banda e Khuddaar Pe Hai Nabiyon Ka Saaya,
Jo Bhook Mein Bhi Luqma e Tar Per Nahin Girta.
Qaayem Hai Qateel Ab Ye Meray Sir K Satoon Per,
Bhonchaal Bhi Aaye To Mera Ghar Nahin Girta .. !!

No comments:
Post a Comment