affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Muddaton b’ad hoee aik mulaqat un se

Tuesday, 5 March 2013

Muddaton b’ad hoee aik mulaqat un se

Muddaton b’ad hoee aik mulaqat un se
Os ne daikha nahee aankhon may hameesha kee tarah
U he har baat pe nazrayn paray jateen os kee
Kabhee ooper kabhee neechy kabhee khud ko daikha
Meree baton ko wo shayad samajh nahe payee
U he aankhon se chhalakta raha tazabzub sa
Wo pasheemaan se dikhee apni jafaa per thoree
Baat moo tak rahee aatee magar na keh paai
K wo itnee Q pareeshan thee Allah jany
Dair tak sehmee se khamosh se gomsum se khaRee
Hausla koi na paaya jo lub kushaai ka
May ne toRaa jo wo sannaata faqat ye keh kar
Jo wafa ho wo muhabbat nahee zaroorat hay
Or maqsad ko zaroorat pe lutaatey tu nahee
May wafa per ye apnee jaan nichaawar kar doon
Bus ye ehsaas tu de duo k tum meree he ho
Tum yahaan ho ya wahaan ho faraq nahee parta
U he bus zaat may meree samaa samaa k jio
Tum alag kab thee meree rooh kee amaizash say
Tum alag kab ho meree zaat kee gehraai say
Tum tu tanhaai ho mehfil ho meree aahat ho
Tum tu dunya ho meree aas ho har chaahat ho
Na tu tanhaai may aisy kabhee muj se aakar
Na sar-e-bazm milaa kar mujhay dar lagta hay…

No comments:

Post a Comment