affiliate marketing Famous Urdu Poetry: ik pagal sii wo larki thi

Tuesday, 5 March 2013

ik pagal sii wo larki thi

ik pagal sii wo larki thi

Ik pagal sii wo larki thi
Rangon se khaila karty thi
Khushbu ki batain karty thi
Chahat k sundar sapno'n ko
Lafzo'n main piroya karty thi
Phir beth k apni sakhiyo'n ko
Wo geet sunaya karty thi


Barsat main barish ki boondain
Hathon se uchala karty thi
Aur chandni raato'n main aksar
Bas chand ko daikha karty thi
Khud se hi batain karty thi
Shayad man hi man main koi
Sapno'n ki maala bunty thi


Lekin uss ko maloom na tha
Jis dunya ki wo baasi hai
Wo insaano'n ki dunya hai
Koi khwaabo'n ki nagri tou nahin
Jahan har koii bas Sapno'n se
Apni basty taameer karay
Bas phir kia tha ik din yunhi


Sab sapnay uss k choor huay
Wo khushbu, barish , rang, hawa
Wo chand,ghazal,sapnay saaray
Ik deewani ka khwab huay
Ab uss ki weera'n aankhon main
Koi khwab nahin, koi aaas nahin
Ik khamushi sannata hai


Han ye chup chup si aankhain bas
Har aik se poocha karty hain
Wo pagal si jo larki thi
Rangon se khaila karty thi
Khushbu ki batain karty thi
Chahat k Sapnay bunty thi
Wo kis dunya ki BAASI thi ....???????

No comments:

Post a Comment