affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Sanvali si eik aurat

Tuesday, 5 March 2013

Sanvali si eik aurat

Sanvali si eik aurat
Bhej rahi hy ab tak mujh ko chahat ke pegham
Sanvali si eik aurat jiska mardon jaisa naam

Voh aurat jiske honton per nachay meray geet
Jis ki badhti shohrat ko me samjhu apni jeet
Sab dunya ko chod ke jis ne mujhay banaya meet
Sunta hundin rat me jis ke sanson ka geet

Chayae meray zahan pe aksar ban ban ke ilham
Sanvali si eik aurat jis ka mardon jaisa naam

Ubhray ubhray hont hain oos ke khiltay surkh gulab
Uski rangat mustakqbil ka dhunla dhunla khawab
Uskay nagmo ki le per bahta hy mast chinab
Uski chal chakoron jaisi uska badan kam khawab
Piyas bhdakti hy jab meri ban jati hy jam
Sanvali si eik aurat, jiska mardon jaisa naam

Me jab uska zikar karun to chonk paday sab log
Koi nasihat karay mujhay aur koi manayae sog
Dekh saka hy kab koi do ruhon ka sanjog
Oos bechari ko sab janain meri jan ka rog

Meri khatir sehti hy sab dunya ke dushnam
Sanvali si eik aurat, jiska mardon jaisa naam

Me kahta hun in pagalon se chodo pichali batain
Apnay piyar se menay oos ke bdl diyae din raat
Daulat walae usay kharidain ? kiya oon ki avqat
Barsaygi ab meray hiaangan me ye barsat

Meri hi chahat ka le gi apnay sir anjam
Sanvali si eik aurat mardon jaisa naam
Chod ke asmat ki mandi aur jismon ka bazar
Pesh karay unchay mahlon me voh fun ke shahkar
Maan liya hy sab ne oosko eik sachchi funkar
Zeb nahin deta ab usko voh gandha bevpaar

Auron ke manind bhala kab hoti hy neelam
Sanvali si eik aurat mardon jesa uska naam

Maan liya kuch aur thi pahlay iskay piyar ki reet
Eik hi sur per kabhi na qayam tha uska sangeet
Phir bhi sab kuch chodke unsay mujhay banaya meet
Jab tak voh chahegi andhay rahaingay meray geet

Apnay sath liyae phirti hy voh mera anjam
Sanvali si eik aurat mardon jaisa naam

No comments:

Post a Comment