affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Agar mein bata don mein kia chahti hon

Saturday 9 February 2013

Agar mein bata don mein kia chahti hon

 
Agar mein bata don mein kia chahti hon
nazron say apni gira tou na doo gay

Jo mein chahti hon, woh tub bhi na chaho
Mujhey koi kari si saza tou na do gay

Mein mohabbaton mein jabar ki qayal nahin hon
Dil laga ker mujh ko bhula to na doo gay

Jo mein bata don meray mun main kia hay
Tum jahan mein tamasha bana to na do gay

Darti hon tum say mein raaz-e-dil sunatay
Tum hansi main baat ura to na do gay

Agar mein bata don mein kia chahti hon
Wafaon k badlay jafa to na do gay
Aur mujh hi say daman chura to na lo gay

No comments:

Post a Comment