affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Ajeeb larki hoon khud ko jalana chahtee hoon

Saturday 9 February 2013

Ajeeb larki hoon khud ko jalana chahtee hoon

Ajeeb larki hoon khud ko jalana chahtee hoon
Mai khud ko rakh ker kaheen bhool jana chahtee hoon

Mere naseeb ki khushiyaan bhee kab mili mujh ko
Bas ab to umer bher aansoo bhana chahtee hoon

Najanay kitni mohabbat hai ranj-o-ghum se mujhe
Koi bhee dard ho dil mai chupana chahtee hoon

Baha baha k ye aasnoo bikhar chuki hoon bahut
Simat k zaat mai ab muskurana chahtee hoon

Jisay eik umer dil mai chupa k rakha hai
Wo raaz aaj mai sab ko batana chahtee hoon

Wohi hai yaad jo acha kaha hai logon ne
Baqi saaray sitam bhool jana chahtee hoon

Mujhe zamanay ne pathar samjh liya hai mager
Mai eik larki hoon sab ko batana chahtee hoon

Jo mujh se rooth chuki hain zamanay ki khushiyaan
To mai bhee un khushiyoon se rooth jana chahtee hoon

Koi to ho jo lagaye mujhay seenay se
Kisi ko mai bhee apnay ghum sunana chahtee hoon

Tu apnay dil k her eik dar ko khool day
Mai dard ban ker teray dil mai aana chahtee hoon

No comments:

Post a Comment