affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Phir Maazi ka Daman Wasee hua

Sunday, 10 February 2013

Phir Maazi ka Daman Wasee hua


Phir Maazi ka Daman Wasee hua
Phir Aaj ka Suraj Doob gaya
Phir Yaad kay Phool Chand aur Khilay
Phir yaron ka Saath Chhoot gaya
Kal say jo Mun Chhupaaya tha
Lo Aaj woh Bhaanda Phoot gaya
Barson Jo hum Nay guzaar Dyay
Ik Sapna tha jo Toot gaya
Ab Ummeed hay Kal kay Suraj ki
Jo Din Naya Dikhlaay ga
Nayi Jaghayn lay jaay ga
Yaar nayay banwaayga
Guzray Kal ki yaadain Lekin
Humain Bhulwaa na Paayga
Wo Suraj Humain Behlaayga
Par hamesha na Reh paayga
Phir maazi ka daman Wasee hoga
Phir Yeh suraj doob jaayga

No comments:

Post a Comment