affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Zindagi kis tarhan bitaoge,

Sunday 10 February 2013

Zindagi kis tarhan bitaoge,

Zindagi kis tarhan bitaoge,
Paas jab apnay humain na paogay,
Din mein tanhaiyan satayain ghi,
Raat ko chounk ker jab uth jao gay,
Raat bhar neend kyun nahi aati,
Tum yeh khud bhi samajh na pao gay,
Log pochain gay is tanhai ka sabab,
Kiya chupao gay kiya bato gay!
Palkain har baar bheeg jaain gi,
Jab kabhi khul kay muskrao gay,
Meri yaadein bohat sataain ghi,
Jab bhi barish mein bheeg jao gay,
Khud ko tanha na pa sako gay kabhi,
Har jaga mera aks pao gay

No comments:

Post a Comment