affiliate marketing Famous Urdu Poetry: tum kahti ho wapis kar do

Friday 22 February 2013

tum kahti ho wapis kar do


Aik chehra hai

meray khuwaabon mian

kutch tuhfay hain

tasveerain hain

meray daman main

yehi cheezain hain ..

jo tanhaye ki sathi hain..

sari yaadain ..

tum kahti ho

wapis kar doo.. wapis kar doo..

meray khat mujh ko , tum kahti ho

wapis kar doo.

khushiyan saari

ho ghum saray.. waday qasmain mausam saray

jo sath bahay.. woh sab ansoo

beetay lamhoon kay sab jugnu

jo tanhayee ..

ki saathi hian .. sari yaadain .. tum kahti ho

wapis kar do

No comments:

Post a Comment