affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Zindagi se darte ho Zindagi to tum bhi ho

Friday 22 February 2013

Zindagi se darte ho Zindagi to tum bhi ho


Zindagi se darte ho 

Zindagi to tum bhi ho 

Zindagi to hum bhi hain

Aadmi se darte ho 

Aadmi to tum bhi ho 

Aadmi to hum bhi hain

Tum abhi se darte ho

Aadmi zabaan bhi hai

Aadmi bayaan bhi hai 

Harf aur maani ke rishta haaye aahan se

Aadmi hai waabasta

Aadmi ke daaman se zindagi hai waabasta

Us se tum nahi darte ho 

Ankahi se darte ho

Jo abhi nahi aayi 

Us gharri ki aamad ki 

Aagahi se darte ho

Tum abhi se darte ho

Pehle bhi to guzre hain 

Daur na rassai ke 

Be-riya khudaai ke


Hech aarzumandi

Yeh shab e zubaan bandi 

Hai rah e khudaawandi

Tum yehi samajhte ho 

Tum mager yeh kya jaano

Lab agar nahi hilte

Haath jaag uthte hain

Haath bol uthte hain 

Subh ki azaan ban kar

Roshni se darte ho

Roshni to tum bhi ho 

Roshni to hum bhi hain

Tum abhi se darte ho

Raah- e- shauq mein jaise 

rahru ka khoon lapke

Ek nayaa junoon lapke

Aadmi chhalak uthe

Aadmi hanste dekho 

shaher phir base dekho

Tum abhi se darte ho 

1 comment: