affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Tumhin Kis Nay Kaha Pagli - Poetry

Thursday 14 February 2013

Tumhin Kis Nay Kaha Pagli - Poetry

Tumhin Kis Nay Kaha Pagli - Poetry

Tumhin kis nay kaha pagli

mujhay tum yaad aati ho

bohat khush faham ho tum bhi

tumharai khush gumani hai

meeri ankhon ki surkhi main

tumhari yaad ka matlab???????

meeray shab bhar kay jagnay main

tumharay khwaab ka matlab???

yah ankhien to hameesha say hi

meri surkh rehti hain

tumhin malom hi hoga

is shahar ki faza kitni aloda hai

tu yah sozish,,ussi fizza kay bayes hai

tumhin kis nay kaha pagli

ka main shab bhar nhin sota

mujhay is nokri kay sab jhameelon say

kabhi fursat milay to tab hai na

meeri baaton main larzash hai???

main aksar kho sa jata hon??

tumhin kis nay kaha pagli

mohabbat kay ilawa aur bhi to dard hotay hain

fikar-e-muaash,sukh ki tlaash,

aisay aur bhi gham hain

aur tum

un sab ghamon kay baad aati ho

tumhin kis nay kaha pagali

mujhay tum yaad aati ho

yah dunya walay pagal hain

zara si baat ko yah to afsaana samjhtay hain

mujhay ab bhi yah pagal tera dewana samjhaty hain

tumhin kis nay kaha pagli!!!

magar shyed!!!!!!!

magar shyed main jhhota hon

main reeza reeza ,toota hon...*

No comments:

Post a Comment