affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Main itna piyar karoon gi misaal kar doon gi

Saturday 11 May 2013

Main itna piyar karoon gi misaal kar doon gi

 Main itna piyar karoon gi misaal kar doon gi,
Wafa ki rait ko main la zawaal kar doon gi.

Dilon ko torne ki rasm torna hai mujhe,
Main is rawaaj ko khuwab-o-khayal kar doon gi.

Bus aik baar mere daam me chale aao.
Nikal na pao ge zulfon ko jaal kar doon gi.

Hanso na haal pe mere k bad dua de ker,
Main apne jaisa tumhara bhi haal kar doon gi.

Wafa ker gayi mere sath jo bhi us k naam,
Main apne jism ki sub khad o khaal kar doon gi,

Hina k rang me aata hai rangna mujh ko,
Bohut haseen tere maah-o-saal kar doon gi.

No comments:

Post a Comment