affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Abhi Sooraj Nahi Dooba Zara Si Sham Honay Do

Thursday 21 February 2013

Abhi Sooraj Nahi Dooba Zara Si Sham Honay Do

Abhi Sooraj Nahi Dooba Zara Si Sham Honay Do
Mai Khud Hi Laut Jaoonga Mujhe Nakaam Honay Do
Mujhey Badnam Karne Ke Bahanay Dhoondtay Ho Kyun..??
Mai Khud Hojaoonga Badnam Pehley Naam Honey Do
Abhi Karna Nahi Aetraaf-E-Shikast Mujhko
Mai Sab Tasleem Kar Loonga Ye Charcha Aam Honay Do
Meri Hasti Nahi Anmol Phir Bhi Bik Nahi Sakta
Wafayen Bech Lena Par Zara Neelam Honay Do
Naye Aaghaz Main Hi Hosla Kyun Haar Bethey Ho...??
Jeet Jaogay Tum Sab Kuch Zara Anjaam Honay Do...!!!

4 comments:

  1. Bahut hi Umdaa, dil ko chuuu gaya.................

    ReplyDelete
  2. Baab-e-Ataa Ke Saamne, Ahl-e-Kamaal Ka Hujoom
    Jin Ko Tha Sar-Kashi Pe Naaz, Woh Bhi Usi Qataar Mein

    ReplyDelete
  3. Janab,bohot hi umda ghazal hai.Agar aap bataenge yeh kis shayar ki ghazal hai toh badi meherbaani hogi.

    ReplyDelete
  4. Janab,bohot hi umda ghazal hai.Agar aap bataenge yeh kis shayar ki ghazal hai toh badi meherbaani hogi.

    ReplyDelete