affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Aey Khuda Tu Ne Yeh Kya Khel Khela Hai - Poetry

Thursday 14 February 2013

Aey Khuda Tu Ne Yeh Kya Khel Khela Hai - Poetry

Aey Khuda Tu Ne Yeh Kya Khel Khela Hai - Poetry

Main Aaya Tha Duniya Mein Jab Akela,
Mene Puchha Ay Khuda Tune Kya Khel Khela,
Main Tanha Ye Zindagi Kaise Guzarunga,
Wo Bola Tere Liye Ek Hoor Utarunga,
Wo Hai Mera Banaya Hua Ek Karishma,
Us Jaisa Hoga Koi Duniya Mein Kahi Na,
Mene Puchha Ay Khuda Kab Tak Intezar Karu,
Wo Bola Bas Us Mein Jaan Daal Doon
Uske Husn Ko Dekh Ke Farishte Tarsenge,
Us Par Har Din Noor Ke Badal Barsenge,
Khuda Ne Kaha Use Kabhi Door Na Rehna,
Usko Jaan Ke Siva Kuch Aur Na Kehna,
Meine Kaha Tu Bhej De Mere Liye Shehzadi,
Usne Kaha Tere Liye Ek Hoor Bana Di,
Meine Kaha Kaise Main Usko Pehchanunga,
Usne Kaha Usko ……….. Naam Dunga,
Meine Kaha Wo Mujhe Tadpaya To Na Karegi,
To Usne Kaha Haan Wo Tujhe Sataya Karegi,
Meine Kaha Uske Dil Mein Mera Tasavur Daal De,
Usne Kaha Wo Teri Hai Uski Fikar Nikal De,
Mene Pucaha Kya Main Use Apna Bana Sakunga,
Wo Bola Use Pane Ka Ek Bahana Dunga,
Mene Puchha Wo Mujhe Thukrayegi To Nahi,
Wo Bola Teri Yahi Aadat Jayegi Nahi,
Tu Harpal Uski Chahat Par Shak Karega,
Koi Usko Dekhega To Tu Yun Hi Jalega,
Usko Tere Liye Banaya Hai Ye Jaan Le,
Wo Kisi Or Ki Na Hogi Ye Maan Le,
Tab Se Lekar Aaj Tak Mene Intezaar Kiya,
Fir Tumne Apni Chahat Ka Izhaar Kiya,
Fir Tum Aur Main Milne Lage Aksar,
Khuda Ka Shukar Ada Kiya Mene Jhuka Kar Sar,
Meine Kaha Ay Khuda Tera Bahut Shukriya,
Usne Kaha Us Hoor Ko De Sari Khushiyaan,
Mene Kaha Uske Kadmon Mein Khushiyaan Bicha Dunga,
Uski Khushi Ki Khatir Jaan Bhi Loota Dunga,
Ab Tum Mere Khawabo Ki Wahi Hoor Ban Gayi,
Mere Dil Ka Sukoon Meri Aankhon Ka Noor Ban Gayi,
Meri Zindagi Ki Har Ek Sans Tujh Se Hai,
Meri Zindagi Jeene Ka Ehsas Tujh Se Hai,
Har Ghadi Har Lamha Me Tujhe Yaad Karta Hoon,
Tu Khush Rahe Humesha Yahi Fariyad Karta Hoon...

No comments:

Post a Comment