affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Apne Gareeb Baba Ki Beti Tumhari Hai

Saturday, 9 February 2013

Apne Gareeb Baba Ki Beti Tumhari Hai


*>>Apne Gareeb Baba Ki Beti Tumhari Hai<<*

Zindagi Tmhari Hai, Har Khushi Tmhari Hai,

Yeh To Tae Hwa Jaanan!

Apne Gareeb Baba Ki Beti Tmhari Hai,

Sar Jhuka K Rakhongi, Dil Mila K Rakhungi,

Ghar Se Aap K Ab To, Mar K Hi Niklungi,

Ghar Tmhara Bhar Dongi,

Kuch Kami Jo Reh Jae Chahe Jo Saza Dena,

Ik Zara Yeh Waada Karo Zinda Na Jala Dena,

Saas Aur Nandoon Ka Hukum Main Na Taa Lungi,

Aap Ki Izat Ka Bhi Khayal Rakhongi,

Zaban Main Bhi Na Rakhti Hoon,

Per Lab Kbhe Na Kholongi,

Aap K Abaa Ki,

Phr Bhi Yeh Guzarish Hai,

Baba Ki Bhi Sifarish Hai,

Main To Aqal-E-Naqas Hoon,

Saare Gur Sikha Dena Mujhe Tum Bata Dena,

Raah Kese Chalte Hain,

Kis Jaga Pe Rukna Hai, Kese Muskurana Hai,

Rona Kis Jaga Pe Hai, Kis Jaga Pe Hansna Hai,

Saare Gur Sikha Dena Aap Mujhe Bata Dena,

Aap Mujhe Bata Dena....

No comments:

Post a Comment