affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Main Aesi Aam Larki Hun

Saturday 9 February 2013

Main Aesi Aam Larki Hun

 
Main Aesi Aam Larki Hun
jise Samjha Nahi Koi!!
ju Sare Khel Bachpan K
khilonoun Main Sajati Thi
ju Apne Dil K Sab Manzar
rangoun Se Banati Thi
ju Kuch Pane Ki Koshish Main
yunhi Haley Banati Thi
kitaboun Se Sabhi Haley
jala Paya Nahi Koi
main Aesi Aam Larki Hun
samajh Paya Nahi Koi
kisi Din Un Khyaloun Main
muhabbat Ki Chamak Bhi Thi
magr Aesi Chamak Us K
khwaboun Tak Hi Rehti Thi
usi K Un Khwaboun Ne
yunhi Bas Ankh Kholi Thi
parhe Tukre Thay Khwaboun K
bhari Ranjish Se Jholi Thi
usi Jholi K Kuch Dhabbe
mita Paya Nahi Koi
main Aesi Aam Larki Hun
samajh Paya Nahi Koi
wo Hansti Khelti Ankhein
yunhi Ashkoun Main Dikhti Thin
wo Zinda Manzaroun K Rang
phatey Kaghaz Main Rakhti Thi
na Bachpan Sath Tha Uske
jawani Uspe Roti Thi
magar Kuch Din Udasi Se
guzarey Ab Thakan Si Hai
ju Tufa_n Ankh Se Guzre
koi Be Bas Jalan Si Hai
jalan Aesi K Jis K Rang
hata Paya Nahi Koi
main Aesi Aam Larki Hun
samajh Paya Nahi Koi
usi Khamosh Larki Ko
bohat Batein Batani Hain
muhabbat Main Baharoun Se
koi Khushbu Sajani Hai
agar Chaho Tu Tum Kardo
amar Karni Kahani Hai
main Aesi Aam Larki Hun
samajh Paya Nahi Koi
agar Chaho Samajh Lo Tum
mukammal Aas Kardo Tum
bohat Din Aam Guzre Hain
mujhe Ab Khas Kardo Tum.....!!!

No comments:

Post a Comment