affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Mein Nay Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan ……..!

Tuesday 19 February 2013

Mein Nay Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan ……..!

Mein Nay Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan ……..!
Jaisy Mahtab Ko Bayant Samandar Chahy…….!
Jaisy Soraj Ki Kiran Seep K Dil Mein Utray……!
Jaisy Khushbo Ko Hawa Rang Say Hat Kar Chahy…….!
Jaisy Pathar K Kalejay Say Kiran Phootti Hai………
Jaisy Ghunchy Khuly Mousam Say Hina Mangty Hein…
Jaisy Khabon Me Kheyalon Ki Kaman Tootti Hai…..
Jaisy Barish Ki Dua Aabla Pa Mangty Hein…..
Mera Her Khab Mere Sach Ki Gawahi De Ga……..
Wusat E Deed Ne Tujh Se Teri Khahish Ki Hai……..
Meri Sochon Me Kabhi Dekh Sarapa Apna……….!!!
Mein Ne Dunya Se Alag Teri Parastish Ki Hai………!!!
Khahish E Deed Ka Mousam Jo Kabhi Dhundla Howa
Noch Dali Hein Zamano Ki Naqabein Mein Nay……..
Teri Palkon Pe Otarti Hue Subhon K Liye….
Torr Dali Hein Sitaroon Ki Tanabein Mein Nay….
Mein Ne Chaha K Tere Husan Ki Gulnar Fiza….
Meri Ghazalon Ki Qataron Se Dehakti Jaey….
Mein Ne Chaha K Meray Fun K Gulistan Ki Bahar….
Teri Ankhon K Gulabon Se Mehakti Jaey….
Teh Toh Ye Tha K Sajata Rahy Lafzon K Kanwal!!
Mere Khamosh Kheyalon Mein Takalum Tera……..
Raqs Karta Rahy Bharta Rahy Khushbo Ka Khumar…..
Meri Khahish K Jazeeron Mein Tabasum Tera…..
Toh Magar Ajnabi Mahool Ki Parwarda Kiran
Meri Bujhti Hue Raton Ko Sehar Kar Na Saki….
Teri Sanson Me Maseehai Thi Lekin Toh Bhi
Chara E Zakham E Gham E Deeda E Tar Kar Na Saki….
Tujh Ko Ehsas He Kab Hai K Kisi Dard Ka Dagh…
Ankh Se Dil Me Utar Jaey To Kiya Hota Hai….???
Toh K Seemab Tabiyat Hai Tujhy Keya Maloom
Mousam E Hijar Thehar Jaey To Keya Hota Hai??????????
Tu nay Us Morr Pe Torra Hai Taluq K Jahan
Dekh Sakta Nahi Koi Bhi Palat Kar Janan………
Ab Ye Aalam Hai K Ankhein Jo Khulein Gi Apni
Yad Aey Ga Teri Deed Ka Manzar Janan……
Mujh Se Mangy Ga Tere Ohad E Mohabbat Ka Hisab…….!!!
Tere Hijran Ka Dehakta Huwa Mehshar Janan
Youhn Mere Dil K Barabar Tera Ghum Aya Hai……..
Jaisy Sheeshy K Muqabil Koi Pathar Janan………
Jaisy Mahtab Ko BeAnt Samondar Chahy
Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan

No comments:

Post a Comment